Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usko barson baad tanha jaane main kaisa laga

R P Shokh

usko barson baad tanha jaane main kaisa laga

R P Shokh

MORE BYR P Shokh

    us ko barsoñ ba.ad tanhā jaane maiñ kaisā lagā

    mujh ko to vo ajnabī ke saath bhī achchhā lagā

    ek muddat se na dekhā thā uThā kar us ġham

    us ġham bhī gard meñ lipTā huā tohfa lagā

    thī likhā.ī bhī usī dastaḳhat bhī us ke the

    kyuuñ ḳhat-e-tark-e-ta.alluq ġhair likkhā lagā

    sāhiloñ par ban sakā us se na kuchh rishta magar

    us ne chhoḌā jab bhañvar meñ vo mujhe apnā lagā

    maiñ ki mere umr guzrī inkisār-o-ijz meñ

    kuchh mashīnoñ ko ḳhatā kartā huā bachcha lagā

    us ko barson baad tanha jaane main kaisa laga

    mujh ko to wo ajnabi ke sath bhi achchha laga

    ek muddat se na dekha tha uTha kar us ka gham

    us ka gham bhi gard mein lipTa hua tohfa laga

    thi likhai bhi usi ki dastaKHat bhi us ke the

    kyun KHat-e-tark-e-talluq ghair ka likkha laga

    sahilon par ban saka us se na kuchh rishta magar

    us ne chhoDa jab bhanwar mein wo mujhe apna laga

    main ki mere umr guzri inkisar-o-ijz mein

    kuchh mashinon ko KHata karta hua bachcha laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now