Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne kyun sab se juda meri pazirai ki

Afeef Siraj

usne kyun sab se juda meri pazirai ki

Afeef Siraj

MORE BYAfeef Siraj

    us ne kyuuñ sab se judā merī pazīrā.ī

    maslahat-kosh thī har baat shanāsā.ī

    zaḳhm-e-dil ham ne sajā.e to idhar bhī us ne

    nāz-o-andāz se jaarī sitam-ārā.ī

    jism tarshā huā sāñche meñ Dhalā hai jaise

    dast-e-āzar ne qasam khaa.ī ho sannā.ī

    aisā sairāb kiyā us ne ki ḳhud tishna-labī

    ik sanad ban ga.ī tārīḳh meñ saqqā.ī

    shukr hai ai shab-e-hijrāñ ki baḌī muddat par

    ho ga.ī dil se mulāqāt bhī bīnā.ī

    shukriyā tum ne bujhāyā mirī hastī charāġh

    tum sazā-vār nahīñ tum ne to achchhā.ī

    us ne kyun sab se juda meri pazirai ki

    maslahat-kosh thi har baat shanasai ki

    zaKHm-e-dil hum ne sajae to idhar bhi us ne

    naz-o-andaz se jari sitam-arai ki

    jism tarsha hua sanche mein Dhala hai jaise

    dast-e-azar ne qasam khai ho sannai ki

    aisa sairab kiya us ne ki KHud tishna-labi

    ek sanad ban gai tariKH mein saqqai ki

    shukr hai ai shab-e-hijran ki baDi muddat par

    ho gai dil se mulaqat bhi binai ki

    shukriya tum ne bujhaya meri hasti ka charagh

    tum saza-war nahin tum ne to achchhai ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now