Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne mere marne ke liye aaj dua ki

Aziz Warsi

usne mere marne ke liye aaj dua ki

Aziz Warsi

MORE BYAziz Warsi

    us ne mire marne ke liye aaj duā

    rab kahīñ niyyat na badal jaa.e qazā

    āñkhoñ meñ hai jaadū tirī zulfoñ meñ hai ḳhushbū

    ab mujh ko zarūrat na davā na duā

    ik murshid-e-bar-haq se hai derīna ta.alluq

    parvāh nahīñ mujh ko sazā na jazā

    donoñ barābar haiñ rah-e-ishq-o-vafā meñ

    jab tum ne vafā hai to ham ne bhī vafā

    ġhairoñ ko ye shikva hai ki piitā hai shab-o-roz

    mai-ḳhāne muḳhtār to ab tak nahīñ shākī

    ye bhī hai yaqīñ mujh ko sazā vo nahīñ deñge

    ye aur bhī hai taslīm ki haañ maiñ ne ḳhatā

    is daur ke insāñ ko ḳhudā bhuul gayā hai

    tum par to 'azīz' aaj bhī rahmat hai ḳhudā

    us ne mere marne ke liye aaj dua ki

    ya rab kahin niyyat na badal jae qaza ki

    aankhon mein hai jadu teri zulfon mein hai KHushbu

    ab mujh ko zarurat na dawa ki na dua ki

    ek murshid-e-bar-haq se hai derina talluq

    parwah nahin mujh ko saza ki na jaza ki

    donon hi barabar hain rah-e-ishq-o-wafa mein

    jab tum ne wafa ki hai to hum ne bhi wafa ki

    ghairon ko ye shikwa hai ki pita hai shab-o-roz

    mai-KHane ka muKHtar to ab tak nahin shaki

    ye bhi hai yaqin mujh ko saza wo nahin denge

    ye aur bhi hai taslim ki han main ne KHata ki

    is daur ke insan ko KHuda bhul gaya hai

    tum par to 'aziz' aaj bhi rahmat hai KHuda ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    usne mere marne ke liye aaj dua ki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now