Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us par tumhaare pyar ka ilzam bhi to hai

Qateel Shifai

us par tumhaare pyar ka ilzam bhi to hai

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    us par tumhāre pyaar ilzām bhī to hai

    achchhā sahī 'qatīl' pa badnām bhī to hai

    āñkheñ har ik hasīn be-faiz to nahīñ

    kuchh sāgaroñ meñ bāda-e-gulfām bhī to hai

    palkoñ pe ab nahīñ hai vo pahlā bār-e-ġham

    rone ke ba.ad kuchh hameñ ārām bhī to hai

    āḳhir burī hai kyā dil-e-nākām ḳhalish

    saath us ke ek lazzat-e-be-nām bhī to hai

    kar to liyā hai qasd ibādat raat

    raste meñ jhūmtī huī ik shaam bhī to hai

    ham jānte haiñ jis ko kisī aur naam se

    ik naam us gardish-e-ayyām bhī to hai

    a tishna-kām-e-shauq ise aazmā ke dekh

    vo aañkh sirf aañkh nahīñ jaam bhī to hai

    munkir nahīñ koī bhī vafā magar 'qatīl'

    duniyā ke sāmne mirā anjām bhī to hai

    us par tumhaare pyar ka ilzam bhi to hai

    achchha sahi 'qatil' pa badnam bhi to hai

    aankhen har ek hasin ki be-faiz to nahin

    kuchh sagaron mein baada-e-gulfam bhi to hai

    palkon pe ab nahin hai wo pahla sa bar-e-gham

    rone ke baad kuchh hamein aaram bhi to hai

    aaKHir buri hai kya dil-e-nakaam ki KHalish

    sath us ke ek lazzat-e-be-nam bhi to hai

    kar to liya hai qasd ibaadat ki raat ka

    raste mein jhumti hui ek sham bhi to hai

    hum jaante hain jis ko kisi aur nam se

    ek nam us ka gardish-e-ayyam bhi to hai

    a tishna-kaam-e-shauq ise aazma ke dekh

    wo aankh sirf aankh nahin jam bhi to hai

    munkir nahin koi bhi wafa ka magar 'qatil'

    duniya ke samne mera anjam bhi to hai

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 120)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now