Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain

Safi Aurangabadi

use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    use kyā raat din jo tālib-e-dīdār phirte haiñ

    ġharaz hai to ġharaz ke vāste sau baar phirte haiñ

    idhar dekho bhalā ham ko zamāna kyā nahīñ kahtā

    to kyā har ek se karte hue takrār phirte haiñ

    jo ab vahshat nahīñ bhī hai to apnī chaal kyuuñ chhoḌeñ

    jidhar chāhe din-bhar rāt-bhar be-kār phirte haiñ

    tirī ḳhātir mohabbat ho ga.ī hai dil vahshat se

    hameñ āvāra-pan par aa gayā hai pyaar phirte haiñ

    taḌapne lūTne aaj un tak bhī ḳhabar pahuñchī

    mujhe badnām karne ko mire ġham-ḳhvār phirte haiñ

    use ham mānte haiñ to zamāne-bhar se achchhā hai

    magar achchhe bhī apne qaul se ai yaar phirte haiñ

    samajhte haiñ samajhne vaale us ko bhī riyā-kārī

    galī-kūchoñ meñ kyuuñ tere sitam-bardār phirte haiñ

    tumheñ afsos kyuuñ hai āshiqoñ kūcha-gardī par

    phirātā hai muqaddar ye ḳhudā.ī ḳhaar phirte haiñ

    kahīñ aisā na ho ik roz tum bhī ham se phir jaao

    yahāñ pahle apnī jaan se bezār phirte haiñ

    vo dil aarzū ab hai na us justujū ab hai

    hamāre paañv meñ chakkar hai ham be-kār phirte haiñ

    kisī kāfir ghar thā nahīñ ma.alūm jannat thī

    abhī tak merī āñkhoñ meñ dar-o-dīvār phirte haiñ

    zamāne se nirālā hai chalan in husn vāloñ

    laqab to qātil-e-ālam hai be-talvār phirte haiñ

    safī' ko tum ne to koī baḌā pahuñchā huā samjhā

    ajī rahne bhī do aise bahut makkār phirte haiñ

    use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain

    gharaz hai to gharaz ke waste sau bar phirte hain

    idhar dekho bhala hum ko zamana kya nahin kahta

    to kya har ek se karte hue takrar phirte hain

    jo ab wahshat nahin bhi hai to apni chaal kyun chhoDen

    jidhar ji chahe din-bhar raat-bhar be-kar phirte hain

    teri KHatir mohabbat ho gai hai dil ki wahshat se

    hamein aawara-pan par aa gaya hai pyar phirte hain

    taDapne luTne ki aaj un tak bhi KHabar pahunchi

    mujhe badnam karne ko mere gham-KHwar phirte hain

    use hum mante hain to zamane-bhar se achchha hai

    magar achchhe bhi apne qaul se ai yar phirte hain

    samajhte hain samajhne wale us ko bhi riya-kari

    gali-kuchon mein kyun tere sitam-bardar phirte hain

    tumhein afsos kyun hai aashiqon ki kucha-gardi par

    phiraata hai muqaddar ye KHudai KHar phirte hain

    kahin aisa na ho ek roz tum bhi hum se phir jao

    yahan pahle hi apni jaan se bezar phirte hain

    wo dil ki aarzu ab hai na us ki justuju ab hai

    hamare panw mein chakkar hai hum be-kar phirte hain

    kisi kafir ka ghar tha ya nahin malum jannat thi

    abhi tak meri aankhon mein dar-o-diwar phirte hain

    zamane se nirala hai chalan in husn walon ka

    laqab to qatil-e-alam hai be-talwar phirte hain

    safi' ko tum ne to koi baDa pahuncha hua samjha

    aji rahne bhi do aise bahut makkar phirte hain

    Source:

    Kulliyat-e-Safi (Pg. 202)

    • Author: Safi Auranjabadi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Acadami Hayderabad
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now