Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use mana kar ghurur us ka baDha na dena

Qateel Shifai

use mana kar ghurur us ka baDha na dena

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    use manā kar ġhurūr us baḌhā na denā

    vo sāmne aa.e bhī to us ko sadā na denā

    ḳhulūs ko jo ḳhushāmadoñ meñ shumār kar leñ

    tum aise logoñ ko tohfatan bhī vafā na denā

    vo jis Thokar meñ ho sambhalne dars shāmil

    tum aise patthar ko rāste se haTā na denā

    sazā gunāhoñ denā us ko zarūr lekin

    vo aadmī hai tum us azmat ghaTā na denā

    jahāñ rifāqat ho fitna-pardāz maulvī

    bahisht aisī kisī ko mere ḳhudā na denā

    'qatīl' mujh ko yahī sikhāyā mire nabī ne

    ki fat.h kar bhī dushmanoñ ko sazā na denā

    use mana kar ghurur us ka baDha na dena

    wo samne aae bhi to us ko sada na dena

    KHulus ko jo KHushamadon mein shumar kar len

    tum aise logon ko tohfatan bhi wafa na dena

    wo jis ki Thokar mein ho sambhalne ka dars shamil

    tum aise patthar ko raste se haTa na dena

    saza gunahon ki dena us ko zarur lekin

    wo aadmi hai tum us ki azmat ghaTa na dena

    jahan rifaqat ho fitna-pardaz maulwi ki

    bahisht aisi kisi ko mere KHuda na dena

    'qatil' mujh ko yahi sikhaya mere nabi ne

    ki fath pa kar bhi dushmanon ko saza na dena

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 275)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now