uThaya faeda jis ne hamesha be-zabani ka
uThāyā fā.eda jis ne hamesha be-zabānī kā
vahī to markazī kirdār thā merī kahānī kā
ḳhayānat bhī na ho paa.ī thī roza-dār āñkhoñ se
vo kaffāre meñ kar baiThe taqāzā zindagānī kā
sar-e-taslīm ḳham kar de vo mere rū-barū aa kar
agar ehsās ho jaa.e mirī āñkhoñ ke paanī kā
sar-e-mahfil usī ne kar diyā be-ābrū āḳhir
kiyā kartā thā jo dā'vā hamārī pāsbānī kā
lage haiñ dil pe jitne zaḳhm sab nāsūr ho jaate
lagā letī agar marham tumhārī mehrbānī kā
sabhī kuchh chhin chukā hai dar-ba-dar bhī ho ga.e phir bhī
nasha utrā nahīñ zehnoñ se ab tak hukmrānī kā
nahīñ dekhā gayā ye bhī 'habība' ahl-e-duniyā se
baḌī mushkil se haath aayā thā lamha shādmānī kā
uThaya faeda jis ne hamesha be-zabani ka
wahi to markazi kirdar tha meri kahani ka
KHayanat bhi na ho pai thi roza-dar aankhon se
wo kaffare mein kar baiThe taqaza zindagani ka
sar-e-taslim KHam kar de wo mere ru-baru aa kar
agar ehsas ho jae meri aankhon ke pani ka
sar-e-mahfil usi ne kar diya be-abru aaKHir
kiya karta tha jo da'wa hamari pasbani ka
lage hain dil pe jitne zaKHm sab nasur ho jate
laga leti agar marham tumhaari mehrbani ka
sabhi kuchh chhin chuka hai dar-ba-dar bhi ho gae phir bhi
nasha utra nahin zehnon se ab tak hukmrani ka
nahin dekha gaya ye bhi 'habiba' ahl-e-duniya se
baDi mushkil se hath aaya tha lamha shadmani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.