unchi imaraton ke makin dekhte rahe
ūñchī 'imāratoñ ke makīñ dekhte rahe
ham kaise aa.e zer-e-zamīñ dekhte rahe
ham par 'azāb utrā kahīñ aur se magar
pāgal the ham jo aur kahīñ dekhte rahe
ham sāhab-e-jamāl the lekin the be-yaqīñ
kis sādgī se tere ta.iiñ dekhte rahe
kitne murāqabe kiye bharne ko ik uḌaan
āvārgī meñ 'arsh-e-barīñ dekhte rahe
ham ahliyān-e-shahr bhī kitne 'ajīb haiñ
ghar ke sañvārne ko makīñ dekhte rahe
unchi 'imaraton ke makin dekhte rahe
hum kaise aae zer-e-zamin dekhte rahe
hum par 'azab utra kahin aur se magar
pagal the hum jo aur kahin dekhte rahe
hum sahab-e-jamal the lekin the be-yaqin
kis sadgi se tere tain dekhte rahe
kitne muraqabe kiye bharne ko ek uDan
aawargi mein 'arsh-e-barin dekhte rahe
hum ahliyan-e-shahr bhi kitne 'ajib hain
ghar ke sanwarne ko makin dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.