Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wadi mein husn ki hai ghaTaon ki bazgasht

Adil Hayat

wadi mein husn ki hai ghaTaon ki bazgasht

Adil Hayat

MORE BYAdil Hayat

    vaadī meñ husn hai ghaTāoñ bāzgasht

    kānoñ ko chūmtī hai sadāoñ bāzgasht

    ab ke hamāre shahr aalam ajiib hai

    har lamha reñgtī hai balāoñ bāzgasht

    sehn-e-chaman meñ gaatī hai is tarah andalīb

    jaise machal rahī ho ḳhizāoñ bāzgasht

    aatī hai yaad mujh ko hazāroñ kahāniyāñ

    kartī hai shor jab bhī havāoñ bāzgasht

    'ādil-hayāt' terā hai uslūb munfarid

    kānoñ meñ kah rahī hai sadāoñ bāzgasht

    wadi mein husn ki hai ghaTaon ki bazgasht

    kanon ko chumti hai sadaon ki bazgasht

    ab ke hamare shahr ka aalam ajib hai

    har lamha rengti hai balaon ki bazgasht

    sehn-e-chaman mein gati hai is tarah andalib

    jaise machal rahi ho KHizaon ki bazgasht

    aati hai yaad mujh ko hazaron kahaniyan

    karti hai shor jab bhi hawaon ki bazgasht

    'adil-hayat' tera hai uslub munfarid

    kanon mein kah rahi hai sadaon ki bazgasht

    Source:

    Sitara Sang (Pg. 34)

    • Author: Adil Hayat
      • Publisher: Nirali Duniya Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now