Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    vaa.iz butān-e-dair se nafrat na kījiye

    kaj-bahsī-e-majāz-o-haqīqat na kījiye

    uThiye na aap bazm se ġhusse meñ is qadar

    jaatā huuñ maiñ huzūr qayāmat na kījiye

    yaad aa jaatā hai kabhī nāseh qaul bhī

    sab kījiye jahāñ meñ mohabbat na kījiye

    bedād aur us pe ye tākīd al-hazar

    aa jaa.e dam laboñ pe shikāyat na kījiye

    zindoñ meñ ab shumār nahīñ hazrat-e-'azīz'

    kahte the aap se ki mohabbat na kījiye

    waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye

    kaj-bahsi-e-majaz-o-haqiqat na kijiye

    uThiye na aap bazm se ghusse mein is qadar

    jata hun main huzur qayamat na kijiye

    yaad aa hi jata hai kabhi naseh ka qaul bhi

    sab kijiye jahan mein mohabbat na kijiye

    bedad aur us pe ye takid al-hazar

    aa jae dam labon pe shikayat na kijiye

    zindon mein ab shumar nahin hazrat-e-'aziz'

    kahte the aap se ki mohabbat na kijiye

    Source:

    Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat) (Pg. e-126 p-98)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1936
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now