Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa-dari ghanimat ho gai kya

Fahmi Badayuni

wafa-dari ghanimat ho gai kya

Fahmi Badayuni

MORE BYFahmi Badayuni

    vafā-dārī ġhanīmat ho ga.ī kyā

    mohabbat bhī muravvat ho ga.ī kyā

    adālat farsh-e-maqtal dho rahī hai

    usūloñ shahādat ho ga.ī kyā

    zarā īmān-dārī se batāo

    hameñ tum se mohabbat ho ga.ī kyā

    farishtoñ jaisī sūrat kyuuñ banā

    koī ham se sharārat ho ga.ī kyā

    kitābat rokne kyā sabab hai

    kahānī ishā.at ho ga.ī kyā

    mazār-e-pīr se āvāz aa.ī

    faqīrī bādshāhat ho ga.ī kyā

    ghaTā.eñ pūchhne ko aa rahī haiñ

    hamārī chhat hālat ho ga.ī kyā

    ye kaisā jashn hai us galī meñ

    koī bandish ijāzat ho ga.ī kyā

    wafa-dari ghanimat ho gai kya

    mohabbat bhi murawwat ho gai kya

    adalat farsh-e-maqtal dho rahi hai

    usulon ki shahadat ho gai kya

    zara iman-dari se batao

    hamein tum se mohabbat ho gai kya

    farishton jaisi surat kyun bana li

    koi hum se shararat ho gai kya

    kitabat rokne ka kya sabab hai

    kahani ki ishaat ho gai kya

    mazar-e-pir se aawaz aai

    faqiri baadshahat ho gai kya

    ghaTaen puchhne ko aa rahi hain

    hamari chhat ki haalat ho gai kya

    ye kaisa jashn hai us ki gali mein

    koi bandish ijazat ho gai kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now