wahin pahunchna hai sab ko jahan se aae hain
vahīñ pahuñchnā hai sab ko jahāñ se aa.e haiñ
koī ye jaane na jaane kahāñ se aa.e haiñ
isī zamīñ se numūdār ho rahe haiñ sabhī
magar hai vahm ki ham āsmāñ se aa.e haiñ
hamāre she'r meñ apnī sī koī baat nahīñ
hamāre she'r ye kis kī zabāñ se aa.e haiñ
makān vāloñ ko hotā nahīñ hai kyuuñ ehsās
ki vo makāñ se nahīñ lā-makāñ se aa.e haiñ
palak-palak hai sitāroñ kī zau-fishānī sī
huzūr ho ke kisī kahkashāñ se aa.e haiñ
wahin pahunchna hai sab ko jahan se aae hain
koi ye jaane na jaane kahan se aae hain
isi zamin se numudar ho rahe hain sabhi
magar hai wahm ki hum aasman se aae hain
hamare she'r mein apni si koi baat nahin
hamare she'r ye kis ki zaban se aae hain
makan walon ko hota nahin hai kyun ehsas
ki wo makan se nahin la-makan se aae hain
palak-palak hai sitaron ki zau-fishani si
huzur ho ke kisi kahkashan se aae hain
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 101)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.