Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waise maine duniya mein kya dekha hai

Tahzeeb Hafi

waise maine duniya mein kya dekha hai

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

    vaise maiñ ne duniyā meñ kyā dekhā hai

    tum kahte ho to phir achchhā dekhā hai

    maiñ us ko apnī vahshat tohfe meñ duuñ

    haath uThā.e jis ne sahrā dekhā hai

    bin dekhe us tasvīr banā lūñgā

    aaj to maiñ ne us ko itnā dekhā hai

    ek nazar meñ manzar kab khulte haiñ dost

    ne dekhā bhī hai to kyā dekhā hai

    ishq meñ banda mar bhī saktā hai maiñ ne

    dil dastāvez meñ likhā dekhā hai

    maiñ to āñkheñ dekh ke batlā dūñgā

    tum meñ se kis kis ne dariyā dekhā hai

    aage sīdhe haath pe ek tarā.ī hai

    maiñ ne pahle bhī ye rasta dekhā hai

    tum ko to is baaġh naam patā hogā

    tum ne to is shahar naqsha dekhā hai

    waise main ne duniya mein kya dekha hai

    tum kahte ho to phir achchha dekha hai

    main us ko apni wahshat tohfe mein dun

    hath uThae jis ne sahra dekha hai

    bin dekhe us ki taswir bana lunga

    aaj to main ne us ko itna dekha hai

    ek nazar mein manzar kab khulte hain dost

    tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai

    ishq mein banda mar bhi sakta hai main ne

    dil ki dastawez mein likha dekha hai

    main to aankhen dekh ke hi batla dunga

    tum mein se kis kis ne dariya dekha hai

    aage sidhe hath pe ek tarai hai

    main ne pahle bhi ye rasta dekha hai

    tum ko to is bagh ka nam pata hoga

    tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now