Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera

Aftab Iqbal Shamim

waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera

Aftab Iqbal Shamim

MORE BYAftab Iqbal Shamim

    vaise to bahut dhoyā gayā ghar añdherā

    niklā nahīñ dīvār ke andar añdherā

    kuchh ruashnī-e-tab.a zarūrī hai vagarna

    hāthoñ meñ utar aatā hai ye sar añdherā

    vo hukm ki hai aql-o-aqīde pe muqaddam

    chhuTne nahīñ detā muqaddar añdherā

    kyā kyā na abul-haul tarāshe ga.e us se

    jaise ye añdherā bhī ho patthar añdherā

    detī hai yahī vaqt tauret gavāhī

    zar jo ujālā hai vo hai zar añdherā

    har aañkh lagī hai ufuq-e-dār jānib

    sūraj se kiran māñgtā hai Dar añdherā

    waise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera

    nikla nahin diwar ke andar ka andhera

    kuchh ruashni-e-taba zaruri hai wagarna

    hathon mein utar aata hai ye sar ka andhera

    wo hukm ki hai aql-o-aqide pe muqaddam

    chhuTne hi nahin deta muqaddar ka andhera

    kya kya na abul-haul tarashe gae us se

    jaise ye andhera bhi ho patthar ka andhera

    deti hai yahi waqt ki tauret gawahi

    zar ka jo ujala hai wo hai zar ka andhera

    har aankh lagi hai ufuq-e-dar ki jaanib

    suraj se kiran mangta hai Dar ka andhera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now