aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai

Asim Wasti

waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    vaqt be-vaqt ye poshāk mirī taak meñ hai

    jāntā huuñ ki mirī ḳhaak mirī taak meñ hai

    mujh ko duniyā ke azāboñ se Darāne vaalo

    ek aalam pas-e-aflāk mirī taak meñ hai

    saañp har dasht meñ kartā hai ta.āqub merā

    bahr-e-be-āb tairāk mirī taak meñ hai

    jam.a kartā hai shavāhid mire hone ke ḳhilāf

    dar-haqīqat mirā idrāk mirī taak meñ hai

    hai mire gird hifāzat ke liye ek hisār

    ho agar koī ġhazabnāk mirī taak meñ hai

    us se kahnā mujhe hāsil hai tahaffuz ġhaibī

    jo pas-e-parda-e-be-chāk mirī taak meñ hai

    vo to yuuñ hai ki bachātā hai bachāne vaalā

    varna ik lashkar-e-saffāk mirī taak meñ hai

    ik taraf ruuh vazū meñ nahīñ hotī shāmil

    ik taraf sajda-e-nāpāk mirī taak meñ hai

    āshnā ek hai is shahr meñ 'āsim' merā

    aur vo dushman-e-bebāk mirī taak meñ hai

    waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai

    jaanta hun ki meri KHak meri tak mein hai

    mujh ko duniya ke azabon se Darane walo

    ek aalam pas-e-aflak meri tak mein hai

    sanp har dasht mein karta hai taaqub mera

    bahr-e-be-ab ka tairak meri tak mein hai

    jama karta hai shawahid mere hone ke KHilaf

    dar-haqiqat mera idrak meri tak mein hai

    hai mere gird hifazat ke liye ek hisar

    ho agar koi ghazabnak meri tak mein hai

    us se kahna mujhe hasil hai tahaffuz ghaibi

    jo pas-e-parda-e-be-chaak meri tak mein hai

    wo to yun hai ki bachata hai bachane wala

    warna ek lashkar-e-saffak meri tak mein hai

    ek taraf ruh wazu mein nahin hoti shamil

    ek taraf sajda-e-napak meri tak mein hai

    aashna ek hai is shahr mein 'asim' mera

    aur wo dushman-e-bebak meri tak mein hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now