Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt qarib hai phir manzar ke badalne ka

Prem Kumar Nazar

waqt qarib hai phir manzar ke badalne ka

Prem Kumar Nazar

MORE BYPrem Kumar Nazar

    vaqt qarīb hai phir manzar ke badalne

    sūraj zid dekho ye nahīñ Dhalne

    maiñ bhī talāsh-e-āb-e-havas meñ niklā huuñ

    shor sunā thā ik chashme ke ubalne

    ahl-e-junūñ kyuuñ dasht meñ aanā chhoḌ diyā

    bhuul ga.e fan nok-e-ḳhār pe chalne

    sub.h talak is shahr meñ jaane kyā ho jaa.e

    rishta DhūñDho rātoñ-rāt nikalne

    yād-e-yār aa jaanā bhī Thiik sahī

    raaz magar gahrā hai dil ke machalne

    waqt qarib hai phir manzar ke badalne ka

    suraj ki zid dekho ye nahin Dhalne ka

    main bhi talash-e-ab-e-hawas mein nikla hun

    shor suna tha ek chashme ke ubalne ka

    ahl-e-junun kyun dasht mein aana chhoD diya

    bhul gae fan nok-e-KHar pe chalne ka

    subh talak is shahr mein jaane kya ho jae

    rishta DhunDho raaton-raat nikalne ka

    yaad-e-yar ka aa jaana bhi Thik sahi

    raaz magar gahra hai dil ke machalne ka

    Source:

    Lauh-e-Jahan (Pg. 59)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now