aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wasl se tab bhare hamara peT

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

wasl se tab bhare hamara peT

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni

    vasl se tab bhare hamārā peT

    peT se jab mile tumhārā peT

    thak ga.e ham to bharte bharte ise

    khāte khāte kabhī na haarā peT

    saaf dariyā-e-husn hai paaT

    kaisā dilchasp hai tumhārā peT

    naaf terī hai yaar nāfa-e-mushk

    aur fazā-e-ḳhutan hai saarā peT

    huā nazzāra-e-shikam na nasīb

    'sehr' har-chand ham ne maarā peT

    wasl se tab bhare hamara peT

    peT se jab mile tumhaara peT

    thak gae hum to bharte bharte ise

    khate khate kabhi na haara peT

    saf dariya-e-husn ka hai paT

    kaisa dilchasp hai tumhaara peT

    naf teri hai yar nafa-e-mushk

    aur faza-e-KHutan hai sara peT

    hua nazzara-e-shikam na nasib

    'sehr' har-chand hum ne mara peT

    Source:

    Deewan-e-Sehar (Pg. 18)

    • Author: Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
      • Publisher: Munshi Naval Kishor, Kanpur
      • Year of Publication: 1868
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now