Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai

Ali Sardar Jafri

watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    vatan se duur yārān-e-vatan yaad aatī hai

    qafas meñ ham-navāyān-e-chaman yaad aatī hai

    ye kaisā zulm hai phir sāya-e-dīvār-e-zindāñ meñ

    vatan ke sāya-e-sarv-o-saman yaad aatī hai

    tasavvur jis se rañgīñ hai taḳhayyul jis se raqsāñ hai

    ġhazāl-e-hind-o-āhū-e-ḳhutan yaad aatī hai

    kabhī lailā-o-shīrīñ gaah hīr-o-shohnī ban kar

    nirāle yaar bāñke sajan yaad aatī hai

    kahāñ ḳhauf-e-zindāñ dahshat-e-dār-o-rasan kaisī

    qad-e-māshūq-o-zulf-e-pur-shikan yaad aatī hai

    watan se dur yaran-e-watan ki yaad aati hai

    qafas mein ham-nawayan-e-chaman ki yaad aati hai

    ye kaisa zulm hai phir saya-e-diwar-e-zindan mein

    watan ke saya-e-sarw-o-saman ki yaad aati hai

    tasawwur jis se rangin hai taKHayyul jis se raqsan hai

    ghazal-e-hind-o-ahu-e-KHutan ki yaad aati hai

    kabhi laila-o-shirin gah hir-o-shohni ban kar

    nirale yar ki banke sajan ki yaad aati hai

    kahan ka KHauf-e-zindan dahshat-e-dar-o-rasan kaisi

    qad-e-mashuq-o-zulf-e-pur-shikan ki yaad aati hai

    Source:

    Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 154)

    • Author: Ali Ahmad Fatmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now