Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

viran thi raat chand ka patthar siyah tha

Zafar Iqbal

viran thi raat chand ka patthar siyah tha

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    vīrāñ thī raat chāñd patthar siyāh thā

    parda-e-nigāh sarāsar siyāh thā

    TuuTe hue makāñ adā dekhtā koī

    sarsabz thī muñDer kabūtar siyāh thā

    maiñ Dūbtā jazīra thā maujoñ maar par

    chāroñ taraf havā samundar siyāh thā

    nashsha chaḌhā to raushniyāñ dikhā.ī diiñ

    hairān huuñ ki maut sāġhar siyāh thā

    vo ḳhvāb thā ki vāhima bas itnā yaad hai

    bāhar safed o surḳh thā andar siyāh thā

    chamkā kahīñ na ret zarra bhī rāt-bhar

    sahrā-e-intizār barābar siyāh thā

    is tarha bādaloñ chhateñ chhā.ī thiiñ 'zafar'

    sahmī huī zamīn thī manzar siyāh thā

    viran thi raat chand ka patthar siyah tha

    ya parda-e-nigah sarasar siyah tha

    TuTe hue makan ki ada dekhta koi

    sarsabz thi munDer kabutar siyah tha

    main Dubta jazira tha maujon ki mar par

    chaaron taraf hawa ka samundar siyah tha

    nashsha chaDha to raushniyan si dikhai din

    hairan hun ki maut ka saghar siyah tha

    wo KHwab tha ki wahima bas itna yaad hai

    bahar safed o surKH tha andar siyah tha

    chamka kahin na ret ka zarra bhi raat-bhar

    sahra-e-intizar barabar siyah tha

    is tarha baadalon ki chhaten chhai thin 'zafar'

    sahmi hui zamin thi manzar siyah tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now