aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

virana-e-hasti mein jo kal rah-numa tha

Sajid Khairabadi

virana-e-hasti mein jo kal rah-numa tha

Sajid Khairabadi

MORE BYSajid Khairabadi

    vīrāna-e-hastī meñ jo kal rāh-numā thā

    kyoñ aaj vo apnā patā pūchh rahā thā

    murjhā ke bikhar jaanā taqdīr thī us

    vo phuul sar-e-shāḳh-e-tamannā jo khilā thā

    thā kūcha-e-dildār meñ ik sehr aalam

    jo mujh ko nazar aaya vo apnā lagā thā

    us ne mirī fikr ko baḳhshī hai harārat

    ik aag dariyā jo kabhī paar kiyā thā

    vo baat na kartā yahī behtar thā sar-e-bazm

    is barf se lahje meñ to ik sho.ala chhupā thā

    haiñ yaad ḳhad-o-ḳhāl na ab us sarāpā

    vo jis hathelī pe mirā naam likhā thā

    be-vaj.h koī ḳhud ko miTātā nahīñ 'sājid'

    marnā hai agar kufr to jiinā bhī sazā thā

    virana-e-hasti mein jo kal rah-numa tha

    kyon aaj wo apna hi pata puchh raha tha

    murjha ke bikhar jaana hi taqdir thi us ki

    wo phul sar-e-shaKH-e-tamanna jo khila tha

    tha kucha-e-dildar mein ek sehr ka aalam

    jo mujh ko nazar aaya wo apna sa laga tha

    us ne hi meri fikr ko baKHshi hai hararat

    ek aag ka dariya jo kabhi par kiya tha

    wo baat na karta yahi behtar tha sar-e-bazm

    is barf se lahje mein to ek shoala chhupa tha

    hain yaad KHad-o-KHal na ab us ka sarapa

    wo jis ki hatheli pe mera nam likha tha

    be-wajh koi KHud ko miTata nahin 'sajid'

    marna hai agar kufr to jina bhi saza tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now