visal chhoD hamein did bhi nahin hoti
visāl chhoḌ hameñ diid bhī nahīñ hotī
ki len-den meñ itnī kamī nahīñ hotī
palaT ke aa.e ho tum mere zaḳhm bharne ko
huzūr-e-vālā mujhe ab ḳhushī nahīñ hotī
tumhārā hijr koī 'aam mas.ala nahīñ hai
maiñ ro paḌūñgā ki ab ḳhāmushī nahīñ hotī
hamī nikhārte haiñ tujh ko ai bikharte shaḳhs
hamī na hote tar-o-tāzgī nahīñ hotī
maiñ chal diyā to palaT kar kabhī nahīñ aanā
ye soch kar tujhe afsurdagī nahīñ hotī
visal chhoD hamein did bhi nahin hoti
ki len-den mein itni kami nahin hoti
palaT ke aae ho tum mere zaKHm bharne ko
huzur-e-wala mujhe ab KHushi nahin hoti
tumhaara hijr koi 'am masala nahin hai
main ro paDunga ki ab KHamushi nahin hoti
hami nikhaarte hain tujh ko ai bikharte shaKHs
hami na hote tar-o-tazgi nahin hoti
main chal diya to palaT kar kabhi nahin aana
ye soch kar tujhe afsurdagi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.