aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo chehre jo the husn ke tufan ki tarah

Salam Machhli shahri

wo chehre jo the husn ke tufan ki tarah

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    Interesting Fact

    (Kitab, Lucknow)

    vo chehre jo the husn ke tūfān tarah

    kamroñ meñ chup haiñ kāġhzī gul-dān tarah

    ye chāñd ye bahār rāteñ gavāh haiñ

    ham ab bhī apne ghar meñ haiñ mehmān tarah

    be-shak huzūr aap ḳhudā tarah raheñ

    jiine haq hameñ bhī hai insān tarah

    maiñ aaj zindagī kaḌī manziloñ meñ huuñ

    ḳhud kah rahā huuñ miliye to anjān tarah

    pahle gumān ye thā ki maiñ ḳhud huuñ rāz-e-zīst

    ab phir rahā huuñ shahr meñ nādān tarah

    laao maiñ us ko sāġhar-e-dil meñ sambhāl luuñ

    botal meñ ik parī hai mirī jaan tarah

    ġhālib ke shahr shāhid-o-naġhma meñ ham salām

    bikhre paḌe haiñ 'mīr' ke dīvān tarah

    wo chehre jo the husn ke tufan ki tarah

    kamron mein chup hain kaghzi gul-dan ki tarah

    ye chand ye bahaar ki raaten gawah hain

    hum ab bhi apne ghar mein hain mehman ki tarah

    be-shak huzur aap KHuda ki tarah rahen

    jine ka haq hamein bhi hai insan ki tarah

    main aaj zindagi ki kaDi manzilon mein hun

    KHud kah raha hun miliye to anjaan ki tarah

    pahle guman ye tha ki main KHud hun raaz-e-zist

    ab phir raha hun shahr mein nadan ki tarah

    lao main us ko saghar-e-dil mein sambhaal lun

    botal mein ek pari hai meri jaan ki tarah

    ghaalib ke shahr shahid-o-naghma mein hum salam

    bikhre paDe hain 'mir' ke diwan ki tarah

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 61)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now