Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dekhne mujhe aana to chahta hoga

Habib Jalib

wo dekhne mujhe aana to chahta hoga

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    vo dekhne mujhe aanā to chāhtā hogā

    magar zamāne bātoñ se Dar gayā hogā

    use thā shauq bahut mujh ko achchhā rakhne

    ye shauq auroñ ko shāyad burā lagā hogā

    kabhī na hadd-e-adab se baḌhe the diida o dil

    vo mujh se kis liye kis baat par ḳhafā hogā

    mujhe gumān hai ye bhī yaqīn had tak

    kisī se bhī na vo merī tarah milā hogā

    kabhī kabhī to sitāroñ chhāñv meñ vo bhī

    mire ḳhayāl meñ kuchh der jāgtā hogā

    vo us saada o ma.asūm vālihāna-pan

    kisī bhī jug meñ koī devtā bhī kyā hogā

    nahīñ vo aayā to 'jālib' gila na kar us

    na-jāne kyā use darpesh mas.ala hogā

    wo dekhne mujhe aana to chahta hoga

    magar zamane ki baaton se Dar gaya hoga

    use tha shauq bahut mujh ko achchha rakhne ka

    ye shauq auron ko shayad bura laga hoga

    kabhi na hadd-e-adab se baDhe the dida o dil

    wo mujh se kis liye kis baat par KHafa hoga

    mujhe guman hai ye bhi yaqin ki had tak

    kisi se bhi na wo meri tarah mila hoga

    kabhi kabhi to sitaron ki chhanw mein wo bhi

    mere KHayal mein kuchh der jagta hoga

    wo us ka sada o masum walihana-pan

    kisi bhi jug mein koi dewta bhi kya hoga

    nahin wo aaya to 'jalib' gila na kar us ka

    na-jaane kya use darpesh masala hoga

    Source:

    kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 472)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now