Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dilbari ka uski jo kuchh haal hai so hai

Meer Hasan

wo dilbari ka uski jo kuchh haal hai so hai

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    vo dilbarī us jo kuchh haal hai so hai

    aur apnī dil-dahī jo ahvāl hai so hai

    mat pūchh us zulf uljheḌe bayān

    ye merī jaan ke liye janjāl hai so hai

    nekī badī koī kisī ke nahīñ sharīk

    jo apnā apnā nāma-e-a.amāl hai so hai

    pis jaa.e koī ho ki pāmāl us ko kyā

    is gardish-e-falak jo kuchh chaal hai so hai

    ve alam meñ aahoñ ke vaisī fauj-e-ashk

    ab tak ġham-o-alam jo iqbāl hai so hai

    aisā to vo nahīñ jo mirā chārasāz ho

    phir fā.eda kahe se jo kuchh haal hai so hai

    shikva mujhe to sozan-e-mizhgāñ se kuchh nahīñ

    dil ḳhaar ḳhaar aah se ġhirbāl hai so hai

    naqsh-e-qadam tarah 'hasan' us raah meñ

    apnā ye dil sadā se jo pāmāl hai so hai

    wo dilbari ka us ki jo kuchh haal hai so hai

    aur apni dil-dahi ka jo ahwal hai so hai

    mat puchh us ki zulf ki uljheDe ka bayan

    ye meri jaan ke liye janjal hai so hai

    neki badi ka koi kisi ke nahin sharik

    jo apna apna nama-e-amal hai so hai

    pis jae koi ho ya ki pamal us ko kya

    is gardish-e-falak ki jo kuchh chaal hai so hai

    we hi alam mein aahon ke waisi hi fauj-e-ashk

    ab tak gham-o-alam ka jo iqbaal hai so hai

    aisa to wo nahin jo mera chaarasaz ho

    phir faeda kahe se jo kuchh haal hai so hai

    shikwa mujhe to sozan-e-mizhgan se kuchh nahin

    dil KHar KHar aah se ghirbaal hai so hai

    naqsh-e-qadam ki tarah 'hasan' us ki rah mein

    apna ye dil sada se jo pamal hai so hai

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 127)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now