Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hairaton ki mukammal kitab likh dena

Qamar Sanbhali

wo hairaton ki mukammal kitab likh dena

Qamar Sanbhali

MORE BYQamar Sanbhali

    vo hairatoñ mukammal kitāb likh denā

    savāl karne se pahle javāb likh denā

    shikast-o-reḳht paiham azaab likh denā

    vo us jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb likh denā

    ajiib tarah batānā hayāt mafhūm

    vo uñgliyoñ se havā par habāb likh denā

    hamāre ghar ke charāġhoñ imtihāñ sahī

    tum āñdhiyoñ ke musalsal azaab likh denā

    samundaroñ bhī vus.at jo pyaas se kam ho

    hamāre ḳhūn-e-jigar ko sharāb likh denā

    agar nahīñ shajar-e-sāya-dār rastoñ meñ

    saroñ pe jalne hue āftāb likh denā

    'qamar' ajiib hai uslūb-e-ḳhāmushī us

    bas ik nigāh meñ dil kitāb likh denā

    wo hairaton ki mukammal kitab likh dena

    sawal karne se pahle jawab likh dena

    shikast-o-reKHt ka paiham azab likh dena

    wo us ka jagti aankhon mein KHwab likh dena

    ajib tarah batana hayat ka mafhum

    wo ungliyon se hawa par habab likh dena

    hamare ghar ke charaghon ka imtihan hi sahi

    tum aandhiyon ke musalsal azab likh dena

    samundaron ki bhi wusat jo pyas se kam ho

    hamare KHun-e-jigar ko sharab likh dena

    agar nahin shajar-e-saya-dar raston mein

    saron pe jalne hue aaftab likh dena

    'qamar' ajib hai uslub-e-KHamushi us ka

    bas ek nigah mein dil ki kitab likh dena

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 745)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now