Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha

Arsh Siddiqui

wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha

Arsh Siddiqui

MORE BYArsh Siddiqui

    Interesting Fact

    (November, 1987)

    vo jis dāstāñ phailī dil-e-dīvāna merā thā

    zabāneñ dushmanoñ thiiñ magar afsāna merā thā

    taḌaptā huuñ ki ik sāġhar kisī hātim se mil jaa.e

    zavāl-e-āsmāñ dekho kabhī mai-ḳhāna merā thā

    balā ḳhāmushī taarī thī har-sū terī haibat se

    sar-e-mahfil jo gūñjā nāra-e-mastāna merā thā

    kaTe yuuñ to hazāroñ sar vafā karbalāoñ meñ

    tire neze pe jo ubhrā sar-e-shāhāna merā thā

    faqīh-e-shahr ko samjho ki ham pakḌe ga.e nāhaq

    sharābeñ sab usī thiiñ bas ik paimāna merā thā

    banā hai 'arsh' vo munsif to phir ye bhī kabhī dekhe

    huā hai band jo mujh par vahī vīrāna merā thā

    wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha

    zabanen dushmanon ki thin magar afsana mera tha

    taDapta hun ki ek saghar kisi hatim se mil jae

    zawal-e-asman dekho kabhi mai-KHana mera tha

    bala ki KHamushi tari thi har-su teri haibat se

    sar-e-mahfil jo gunja nara-e-mastana mera tha

    kaTe yun to hazaron sar wafa ki karbalaon mein

    tere neze pe jo ubhra sar-e-shahana mera tha

    faqih-e-shahr ko samjho ki hum pakDe gae nahaq

    sharaben sab usi ki thin bas ek paimana mera tha

    bana hai 'arsh' wo munsif to phir ye bhi kabhi dekhe

    hua hai band jo mujh par wahi virana mera tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now