aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha

Saleem Kausar

wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha

Saleem Kausar

MORE BYSaleem Kausar

    vo jo ham-rahī ġhurūr thā vo savād-e-rāh meñ jal-bujhā

    havā ke ishq meñ ghul gayā maiñ zamīñ chaah meñ jal-bujhā

    ye jo shāḳh-e-lab pe hujūm-e-rañg-e-sadā khilā hai galī galī

    kahīñ koī sho.ala-e-be-navā kisī qatl-gāh meñ jal-bujhā

    jo kitāb-e-ishq ke baab the tirī dastaras meñ bikhar ga.e

    vo jo ahd-nāma-e-ḳhvāb thā vo mirī nigāh meñ jal-bujhā

    hameñ yaad ho to sunā.eñ bhī zarā dhyān ho to batā.eñ bhī

    ki vo dil jo mahram-e-rāz thā kahāñ rasm-o-rāh meñ jal-bujhā

    kahīñ be-niyāzī laag meñ kahīñ ehtiyāt aag meñ

    tujhe merī koī ḳhabar bhī hai mire ḳhair-ḳhvāh maiñ jal-bujhā

    mirī raakh se na.ī raushnī hikāyatoñ ko sameT le

    maiñ charāġh-e-sub.h-e-visāl thā tirī ḳhema-gāh meñ jal-bujhā

    vo jo harf-e-tāza-misāl the unheñ jab se ne bhulā diyā

    tirī bazm-e-nāz bāñkpan kisī ḳhānqāh meñ jal-bujhā

    wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha

    tu hawa ke ishq mein ghul gaya main zamin ki chah mein jal-bujha

    ye jo shaKH-e-lab pe hujum-e-rang-e-sada khila hai gali gali

    kahin koi shoala-e-be-nawa kisi qatl-gah mein jal-bujha

    jo kitab-e-ishq ke bab the teri dastaras mein bikhar gae

    wo jo ahd-nama-e-KHwab tha wo meri nigah mein jal-bujha

    hamein yaad ho to sunaen bhi zara dhyan ho to bataen bhi

    ki wo dil jo mahram-e-raaz tha kahan rasm-o-rah mein jal-bujha

    kahin be-niyazi ki lag mein kahin ehtiyat ki aag mein

    tujhe meri koi KHabar bhi hai mere KHair-KHwah main jal-bujha

    meri rakh se nai raushni ki hikayaton ko sameT le

    main charagh-e-subh-e-visal tha teri KHema-gah mein jal-bujha

    wo jo harf-e-taza-misal the unhen jab se tu ne bhula diya

    teri bazm-e-naz ka bankpan kisi KHanqah mein jal-bujha

    Source:

    duniya aarzoo se kam hai

    • Author: Saleem kausar
      • Publisher: the institute of company secretaries of india
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now