Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kahte hain uTTho sahar ho gai

Aagha Akbarabadi

wo kahte hain uTTho sahar ho gai

Aagha Akbarabadi

MORE BYAagha Akbarabadi

    vo kahte haiñ uTTho sahar ho ga.ī

    azaañ ho ga.ī top-sar ho ga.ī

    gale se milo ab to bahr-e-ḳhudā

    taḌapte mujhe raat bhar ho ga.ī

    ilāhī huā jazb-e-ulfat ko kyā

    mirī aah kyuuñ be-asar ho ga.ī

    zamāna to ai jaan bargashta thā

    tumhārī bhī tirchhī nazar ho ga.ī

    hue sar kaTāne ko tayyār ham

    jo vaañ teġh zeb-e-kamar ho ga.ī

    dikhā.ī mujhe kis liye shām-e-hijr

    shab-e-vasl kyuuñ sahar ho ga.ī

    milā vasl meñ bhī na 'āġhā' ko chain

    shikāyat meñ shab bhar basar ho ga.ī

    wo kahte hain uTTho sahar ho gai

    azan ho gai top-sar ho gai

    gale se milo ab to bahr-e-KHuda

    taDapte mujhe raat bhar ho gai

    ilahi hua jazb-e-ulfat ko kya

    meri aah kyun be-asar ho gai

    zamana to ai jaan bargashta tha

    tumhaari bhi tirchhi nazar ho gai

    hue sar kaTane ko tayyar hum

    jo wan tegh zeb-e-kamar ho gai

    dikhai mujhe kis liye sham-e-hijr

    shab-e-wasl ki kyun sahar ho gai

    mila wasl mein bhi na 'agha' ko chain

    shikayat mein shab bhar basar ho gai

    Source:

    Deewan-e-Aagha (Pg. ebook-148 page-150)

      • Publisher: Matba Ejaz Mohammadi, Agra
      • Year of Publication: 1886
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now