Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kam-amez mujhse ham-suKHan hone laga hai

Tabassum Anwar

wo kam-amez mujhse ham-suKHan hone laga hai

Tabassum Anwar

MORE BYTabassum Anwar

    vo kam-āmez mujh se ham-suḳhan hone lagā hai

    ba-yak lahza ye dasht-e-dil chaman hone lagā hai

    suhūlat se vo paḌhtā rahā hai zehn merā

    badan sochoñ phir be-pairahan hone lagā hai

    mirī tanhā.ī aur vahshat meñ phir se Than ga.ī hai

    yuuñ lagtā hai koī ghamsān ran hone lagā hai

    atā kiije mire murshid mujhe koī vazīfa

    mirā dil phir se duniyā meñ magan hone lagā hai

    ye rūhoñ ke milan kar na de masdūd rāheñ

    ki haa.il is milan meñ ab badan hone lagā hai

    pakaḌ jaḌeñ ulfat ne āḳhir is zamīñ meñ

    dayār-e-ġhair ab merā vatan hone lagā hai

    biThā rakkhe haiñ us ne mujh pe yuuñ nādīda pahre

    khulā māhaul bhī man ghuTan hone lagā hai

    mire tarz-e-takallum meñ thā jo be-sāḳhta-pan

    vahī mere suḳhan bāñkpan hone lagā hai

    jahāñ tyāgā 'tabassum' jis ko apnāne ḳhātir

    usī se ab bichhaḌne jatan hone lagā hai

    wo kam-amez mujh se ham-suKHan hone laga hai

    ba-yak lahza ye dasht-e-dil chaman hone laga hai

    suhulat se wo paDhta ja raha hai zehn mera

    badan sochon ka phir be-pairahan hone laga hai

    meri tanhai aur wahshat mein phir se Than gai hai

    yun lagta hai koi ghamsan ran hone laga hai

    ata kije mere murshid mujhe koi wazifa

    mera dil phir se duniya mein magan hone laga hai

    ye ruhon ke milan ki kar na de masdud rahen

    ki hail is milan mein ab badan hone laga hai

    pakaD hi li jaDen ulfat ne aaKHir is zamin mein

    dayar-e-ghair ab mera watan hone laga hai

    biTha rakkhe hain us ne mujh pe yun nadida pahre

    khula mahaul bhi man ki ghuTan hone laga hai

    mere tarz-e-takallum mein tha jo be-saKHta-pan

    wahi mere suKHan ka bankpan hone laga hai

    jahan tyaga 'tabassum' jis ko apnane ki KHatir

    usi se ab bichhaDne ka jatan hone laga hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now