aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kaun hai jo yahan shadman nahin milta

Hadi Machlishahri

wo kaun hai jo yahan shadman nahin milta

Hadi Machlishahri

MORE BYHadi Machlishahri

    vo kaun hai jo yahāñ shādmāñ nahīñ miltā

    tirī galī meñ kahīñ āsmāñ nahīñ miltā

    maiñ kis se vādī-e-ġhurbat meñ rāsta pūchhūñ

    luTā huā bhī koī kārvāñ nahīñ miltā

    nigāh-e-yār bhī uqda-kushā-e-dil na huī

    mirī ḳhalish koī rāz-dāñ nahīñ miltā

    jabīn-e-shauq kam-vus.atī bhī hai qusūr

    yahī nahīñ ki tirā āstāñ nahīñ miltā

    jahāñ meñ kuchh bhī nahīñ mā-sivā-e-ranj-o-alam

    mire nasīb likkhā kahāñ nahīñ miltā

    zamīn-e-sher dushvāriyoñ ḳhauf nahīñ

    maiñ apne rang meñ 'hādī' kahāñ nahīñ miltā

    wo kaun hai jo yahan shadman nahin milta

    teri gali mein kahin aasman nahin milta

    main kis se wadi-e-ghurbat mein rasta puchhun

    luTa hua bhi koi karwan nahin milta

    nigah-e-yar bhi uqda-kusha-e-dil na hui

    meri KHalish ka koi raaz-dan nahin milta

    jabin-e-shauq ki kam-wusati ka bhi hai qusur

    yahi nahin ki tera aastan nahin milta

    jahan mein kuchh bhi nahin ma-siwa-e-ranj-o-alam

    mere nasib ka likkha kahan nahin milta

    zamin-e-sher ki dushwariyon ka KHauf nahin

    main apne rang mein 'hadi' kahan nahin milta

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 141)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now