aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kya din the jo qatil-bin dil-e-ranjur ro deta

Wali Uzlat

wo kya din the jo qatil-bin dil-e-ranjur ro deta

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    vo kyā din the jo qātil-bin dil-e-ranjūr ro detā

    mirā har zaḳhm juuñ vo teġh hotī duur, ro detā

    ajab Dhorī-lagan merī thī us sham-e-sarkash ko

    ki merā dekhtā jab ijz vo maġhrūr ro detā

    hamāre shahr-e-dard-ābād meñ lohū ke aañsū se

    vahāñ daar jab suulī diyā mansūr ro detā

    misāl-e-sub.h shabnam-rez jo sūraj burqa hai

    chhiḌaktā jab vo mere dāġh-e-dil par shuur ro detā

    jo hotī vo palak-nashtar sahāb-e-chashm rag par

    mire sailāb-e-ashk aage nadī puur ro detā

    na niklā ghar se varna na.ash merī ḳhāk-e-rāh uupar

    paḌī gar dekhtā 'uzlat' vo rashk-e-hūr ro detā

    wo kya din the jo qatil-bin dil-e-ranjur ro deta

    mera har zaKHm jun wo tegh hoti dur, ro deta

    ajab Dhori-lagan meri ki thi us sham-e-sarkash ko

    ki mera dekhta jab ijz wo maghrur ro deta

    hamare shahr-e-dard-abaad mein lohu ke aansu se

    wahan ka dar jab suli diya mansur ro deta

    misal-e-subh shabnam-rez jo suraj ka burqa hai

    chhiDakta jab wo mere dagh-e-dil par shur ro deta

    jo hoti wo palak-nashtar sahab-e-chashm ki rag par

    mere sailab-e-ashk aage nadi ka pur ro deta

    na nikla ghar se warna nash meri KHak-e-rah upar

    paDi gar dekhta 'uzlat' wo rashk-e-hur ro deta

    Source:

    Deewan-e-uzlat(Rekhta Website) (Pg. 203)

    • Author: Wali Uzlat
      • Edition: 1962
      • Publisher: Adbi Publisher Shefford Road, Bomabay
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now