aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mujhse be-KHabar hain unki aadat hi kuchh aisi hai

Hasan Barelvi

wo mujhse be-KHabar hain unki aadat hi kuchh aisi hai

Hasan Barelvi

MORE BYHasan Barelvi

    vo mujh se be-ḳhabar haiñ un aadat kuchh aisī hai

    maiñ un ko yaad kartā huuñ mohabbat kuchh aisī hai

    maiñ aa.uuñ va.az meñ sau baar jab ye dil bhī aane de

    karūñ kyā vā.izo rindoñ sohbat kuchh aisī hai

    maiñ kis gintī meñ huuñ aur ik mire dil haqīqat kyā

    hazāroñ jaan dete haiñ vo sūrat kuchh aisī hai

    koī aa.e ye aatī hai koī jaa.e ye jaatā hai

    mirā dil kuchh aisā hai tabī.at kuchh aisī hai

    hamārā kyā bigaḌ jaatā 'hasan' terī sifārish meñ

    hamārī un ab sāhib-salāmat kuchh aisī hai

    wo mujh se be-KHabar hain un ki aadat hi kuchh aisi hai

    main un ko yaad karta hun mohabbat hi kuchh aisi hai

    main aaun waz mein sau bar jab ye dil bhi aane de

    karun kya waizo rindon ki sohbat hi kuchh aisi hai

    main kis ginti mein hun aur ek mere dil ki haqiqat kya

    hazaron jaan dete hain wo surat hi kuchh aisi hai

    koi aae ye aati hai koi jae ye jata hai

    mera dil hi kuchh aisa hai tabiat hi kuchh aisi hai

    hamara kya bigaD jata 'hasan' teri sifarish mein

    hamari un ki ab sahib-salamat hi kuchh aisi hai

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 134)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now