Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo pas aae aas bane aur palaT gae

Shohrat Bukhari

wo pas aae aas bane aur palaT gae

Shohrat Bukhari

MORE BYShohrat Bukhari

    vo paas aa.e aas bane aur palaT ga.e

    kitne parde āñkhoñ ke aage se haT ga.e

    har baaġh meñ bahār huī ḳhema-zan magar

    dāman ke saath saath yahāñ dil bhī phaT ga.e

    gumrāhiyoñ lapkā kuchh aisā paḌā ki ham

    manzil qarīb aa.ī to rahbar se kaT ga.e

    dil de ke is tarah se tabī.at sambhal ga.ī

    goyā tamām umr ke jhagḌe nipaT ga.e

    barsoñ ke pyāse dasht-navardoñ se pūchhiye

    un bādaloñ pyaar jo ghirte chhaT ga.e

    bas meñ raheñ na jab ġham-e-daurāñ vus.ateñ

    ham log apne gosha-e-dil meñ simaT ga.e

    'shohrat' unheñ bhulāne koshish jo kabhī

    dāmān-e-dil se saiñkaḌoñ fitne lipaT ga.e

    wo pas aae aas bane aur palaT gae

    kitne hi parde aankhon ke aage se haT gae

    har bagh mein bahaar hui KHema-zan magar

    daman ke sath sath yahan dil bhi phaT gae

    gumrahiyon ka lapka kuchh aisa paDa ki hum

    manzil qarib aai to rahbar se kaT gae

    dil de ke is tarah se tabiat sambhal gai

    goya tamam umr ke jhagDe nipaT gae

    barson ke pyase dasht-nawardon se puchhiye

    un baadalon ka pyar jo ghirte hi chhaT gae

    bas mein rahen na jab gham-e-dauran ki wusaten

    hum log apne gosha-e-dil mein simaT gae

    'shohrat' unhen bhulane ki koshish jo ki kabhi

    daman-e-dil se sainkaDon fitne lipaT gae

    Source:

    Nuquush Lahore (Pg. 363)

    • Author: Mohd Tufail
      • Edition: Feb.1956
      • Publisher: Idara Farog-e-urdu, Lahore
      • Year of Publication: Feb.1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now