Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ruh ke gumbad mein sada ban ke milega

Azad Gulati

wo ruh ke gumbad mein sada ban ke milega

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    vo ruuh ke gumbad meñ sadā ban ke milegā

    ik din vo mujhe merā ḳhudā ban ke milegā

    bhaTkūñgā maiñ is shahr galiyoñ meñ akelā

    vo mujh ko mire dil ḳhalā ban ke milegā

    vo daur bhī aa.egā ki har lamha-e-hastī

    mujh se tire milne duā ban ke milegā

    kis zo.am se bichhḌā hai magar dekhnā ye bhī

    ḳhud se ḳhud apnī sazā ban ke milegā

    ash.ār meñ dhaḌke.eñge mulāqāt ke lamhe

    sab se mire fan baqā ban ke milegā

    wo ruh ke gumbad mein sada ban ke milega

    ek din wo mujhe mera KHuda ban ke milega

    bhaTkunga main is shahr ki galiyon mein akela

    wo mujh ko mere dil ka KHala ban ke milega

    wo daur bhi aaega ki har lamha-e-hasti

    mujh se tere milne ki dua ban ke milega

    kis zoam se bichhDa hai magar dekhna ye bhi

    tu KHud se KHud apni hi saza ban ke milega

    ashaar mein dhaDkeenge mulaqat ke lamhe

    tu sab se mere fan ki baqa ban ke milega

    Source:

    Aab-e-Sharab (Pg. 66)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now