wo sada raston mein rahte hain
vo sadā rāstoñ meñ rahte haiñ
log jo vasvasoñ meñ rahte haiñ
log raushan ḳhayāl ho kar bhī
jaane kyoñ pattharoñ meñ rahte haiñ
dushmanoñ kī nahīñ zarūrat ab
aise ham dostoñ meñ rahte haiñ
sab ke dukh dard bāñTne vaale
ḳhud magar nafratoñ meñ rahte haiñ
paas ho kar bhī log aksar hī
'umr bhar fāsloñ meñ rahte haiñ
gar haqīqat nahīñ koī in kī
ḳhvāb kyoñ āñganoñ meñ rahte haiñ
roz lagte haiñ zaḳhm dil pe 'nadīm'
phir bhī ham qahqahoñ meñ rahte haiñ
wo sada raston mein rahte hain
log jo waswason mein rahte hain
log raushan KHayal ho kar bhi
jaane kyon pattharon mein rahte hain
dushmanon ki nahin zarurat ab
aise hum doston mein rahte hain
sab ke dukh dard banTne wale
KHud magar nafraton mein rahte hain
pas ho kar bhi log aksar hi
'umr bhar faslon mein rahte hain
gar haqiqat nahin koi in ki
KHwab kyon aanganon mein rahte hain
roz lagte hain zaKHm dil pe 'nadim'
phir bhi hum qahqahon mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.