Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo TukDa raat ka bikhra hua sa

Gautam Rajrishi

wo TukDa raat ka bikhra hua sa

Gautam Rajrishi

MORE BYGautam Rajrishi

    vo TukḌā raat bikhrā huā

    abhī tak din pe hai Thahrā huā

    udāsī ek lamhe par girī thī

    sadī bojh hai pasrā huā

    idhar khiḌkī meñ thā māyūs chehra

    udhar bhī chāñd hai utrā huā

    kare hai shor yuuñ siine meñ ye dil

    samūcha jism hai bahrā huā

    ye kin nazroñ se mujh ko dekhte ho

    rahūñ har dam sajā-sañvrā huā

    sukhāne zulf vo aa.e haiñ chhat par

    hai sūraj aaj phir sahrā huā

    likhā us naam pahlā akhshar

    mukammal page hai chehra huā

    wo TukDa raat ka bikhra hua sa

    abhi tak din pe hai Thahra hua sa

    udasi ek lamhe par giri thi

    sadi ka bojh hai pasra hua sa

    idhar khiDki mein tha mayus chehra

    udhar bhi chand hai utra hua sa

    kare hai shor yun sine mein ye dil

    samucha jism hai bahra hua sa

    ye kin nazron se mujh ko dekhte ho

    rahun har dam saja-sanwra hua sa

    sukhane zulf wo aae hain chhat par

    hai suraj aaj phir sahra hua sa

    likha us nam ka pahla hi akhshar

    mukammal page hai chehra hua sa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now