Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo un zulfon ka aalam abtari ka

Muntazir lakhnavi

wo un zulfon ka aalam abtari ka

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    vo un zulfoñ aalam abtarī

    sabab thā merī shorīda-sarī

    parī ho jis zālim raftār

    vo kyā jaane jatan ādam-girī

    ajab apnā bhī hai māshūq be-aib

    hunar hai jis meñ āshiq-parvarī

    tirī jādū-nigāhī jis ne dekhī

    vo kab qaa.il hai sehr-e-sāmrī

    ravāñ haiñ laḳht-e-dil yuuñ chashm-e-nam se

    musāfir juuñ chale rasta tarī

    sharaf as.hāb-e-kahf uupar rakhe hai

    jo sag hai āstān-e-haidarī

    badī mat kar kisī 'muntazir'

    agar ḳhvāhāñ hai apnī behtarī

    wo un zulfon ka aalam abtari ka

    sabab tha meri shorida-sari ka

    pari ki si ho jis zalim ki raftar

    wo kya jaane jatan aadam-giri ka

    ajab apna bhi hai mashuq be-aib

    hunar hai jis mein aashiq-parwari ka

    teri jadu-nigahi jis ne dekhi

    wo kab qail hai sehr-e-samri ka

    rawan hain laKHt-e-dil yun chashm-e-nam se

    musafir jun chale rasta tari ka

    sharaf ashab-e-kahf upar rakhe hai

    jo sag hai aastan-e-haidari ka

    badi mat kar kisi ki 'muntazir' tu

    agar KHwahan hai apni behtari ka

    Source:

    Intikhab Kulliyat-e-Muntazir (Pg. 68)

    • Author: Muntazir lakhnavi
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now