aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ya to tariKH ki azmat se lipaT kar so ja

Fay Seen Ejaz

ya to tariKH ki azmat se lipaT kar so ja

Fay Seen Ejaz

MORE BYFay Seen Ejaz

    to tārīḳh azmat se lipaT kar so

    kisī TuuTe hue but se chimaT kar so

    nanhā bachcha hai to aa maañ ke ghane āñchal meñ

    raat chhalnī saḌak se lipaT kar so

    har ghaḌī shor machātī huī maḳhlūq ke beach

    apne hone ke yaqīñ se zarā haT kar so

    niiñd uḌne maza bhī chakhā de un ko

    chaal makkār sitāroñ ulaT kar so

    oḌh le saare badan par havā chādar

    aur tūfān bāñhoñ meñ simaT kar so

    ai ḳhalīfa ai na.e vaqt ke hārūn-rashīd

    to rivāyāt-e-shab-e-adl se kaT kar so

    ya to tariKH ki azmat se lipaT kar so ja

    ya kisi TuTe hue but se chimaT kar so ja

    nanha bachcha hai to aa man ke ghane aanchal mein

    raat ki chhalni saDak hi se lipaT kar so ja

    har ghaDi shor machati hui maKHluq ke beach

    apne hone ke yaqin se zara haT kar so ja

    nind uDne ka maza tu bhi chakha de un ko

    chaal makkar sitaron ki ulaT kar so ja

    oDh le sare badan par tu hawa ki chadar

    aur tufan ki banhon mein simaT kar so ja

    ai KHalifa ai nae waqt ke haarun-rashid

    to riwayat-e-shab-e-adl se kaT kar so ja

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 740)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now