aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua

Jurat Qalandar Bakhsh

yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    yaad aatā hai to kyā phirtā huuñ ghabrāyā huā

    champa.ī rang us aur joban vo gadrāyā huā

    baat avval to vo kartā nahīñ mujh se kabhī

    aur jo bole hai kuchh muñh se to sharmāyā huā

    ke phir aa.uuñ na jā.ūñ us galī meñ dauḌ dauḌ

    par karūñ kyā maiñ nahiñ phirtā hai dil aayā huā

    be-sabab jo mujh se hai vo sho.ala-ḳhū sargarm-e-jañg

    maiñ to hairāñ huuñ ki ye kis hai bhaḌkāyā huā

    vo kare azm-e-safar to kījiye duniyā se kuuch

    ye irāda ham ne bhī dil meñ hai Thahrāyā huā

    nok-e-mizhgāñ par dil-e-pazh-murda hai yuuñ sar-nigūñ

    shāḳh se jhuk aa.e hai juuñ phuul murjhāyā huā

    jā.ūñ jā.ūñ kyā lagāyā hai miyāñ baiThe raho

    huuñ maiñ apnī ziist se aage uktāyā huā

    terī duurī se ye hālat ho ga.ī apnī ki aah

    an-qarīb-e-marg har ik apnā ham-sāya huā

    kyā kaheñ ab 'ishq kyā kyā ham se kartā hai sulūk

    dil pe be-tābī ik pyāda hai biThlāyā huā

    hai qalaq se dil ye hālat mirī ab ki maiñ

    chār-sū phirtā huuñ apne ghar meñ ghabrāyā huā

    chupke chupke apne apne dil meñ sab kahte haiñ log

    kyā balā vahshat huī hai is ko saayā huā

    hukm bār-e-majlis ab 'jur.at' ko bhī ho jaa.e

    ye bichāra kab se darvāze pe hai aayā huā

    yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua

    champai rang us ka aur joban wo gadraya hua

    baat hi awwal to wo karta nahin mujh se kabhi

    aur jo bole hai kuchh munh se to sharmaya hua

    ja ke phir aaun na jaun us gali mein dauD dauD

    par karun kya main nahin phirta hai dil aaya hua

    be-sabab jo mujh se hai wo shoala-KHu sargarm-e-jang

    main to hairan hun ki ye kis ka hai bhaDkaya hua

    wo kare azm-e-safar to kijiye duniya se kuch

    ye irada hum ne bhi dil mein hai Thahraya hua

    nok-e-mizhgan par dil-e-pazh-murda hai yun sar-nigun

    shaKH se jhuk aae hai jun phul murjhaya hua

    jaun jaun kya lagaya hai miyan baiThe raho

    hun main apni zist se aage hi uktaya hua

    teri duri se ye haalat ho gai apni ki aah

    an-qarib-e-marg har ek apna ham-saya hua

    kya kahen ab 'ishq kya kya hum se karta hai suluk

    dil pe be-tabi ka ek pyaada hai biThlaya hua

    hai qalaq se dil ki ye haalat meri ab tu ki main

    chaar-su phirta hun apne ghar mein ghabraya hua

    chupke chupke apne apne dil mein sab kahte hain log

    kya bala wahshat hui hai is ko ya saya hua

    hukm bar-e-majlis ab 'jurat' ko bhi ho jae ji

    ye bichaara kab se darwaze pe hai aaya hua

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. e-book-224-page-224)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now