aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh ki lahar ne chheDa hoga

Nasir Kazmi

dukh ki lahar ne chheDa hoga

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    dukh lahar ne chheḌā hogā

    yaad ne kañkar pheñkā hogā

    aaj to merā dil kahtā hai

    is vaqt akelā hogā

    mere chūme hue hāthoñ se

    auroñ ko ḳhat likhtā hogā

    bhiig chalīñ ab raat palkeñ

    ab thak kar soyā hogā

    rail gahrī siiTī sun kar

    raat jañgal gūñjā hogā

    shahr ke ḳhālī station par

    koī musāfir utrā hogā

    āñgan meñ phir chiḌiyāñ bolīñ

    ab so kar uTThā hogā

    yādoñ jaltī shabnam se

    phuul mukhḌā dhoyā hogā

    motī jaisī shakl banā kar

    ā.īne ko taktā hogā

    shaam huī ab bhī shāyad

    apne ghar ko lauTā hogā

    niilī dhuñdlī ḳhāmoshī meñ

    tāroñ dhun suntā hogā

    merā sāthī shaam taarā

    tujh se aañkh milātā hogā

    shaam ke chalte haath ne tujh ko

    merā salām to bhejā hogā

    pyāsī kurlātī kūñjoñ ne

    merā dukh to sunāyā hogā

    maiñ to aaj bahut royā huuñ

    bhī shāyad royā hogā

    'nāsir' terā miit purānā

    tujh ko yaad to aatā hogā

    dukh ki lahar ne chheDa hoga

    yaad ne kankar phenka hoga

    aaj to mera dil kahta hai

    tu is waqt akela hoga

    mere chume hue hathon se

    auron ko KHat likhta hoga

    bhig chalin ab raat ki palken

    tu ab thak kar soya hoga

    rail ki gahri siTi sun kar

    raat ka jangal gunja hoga

    shahr ke KHali station par

    koi musafir utra hoga

    aangan mein phir chiDiyan bolin

    tu ab so kar uTTha hoga

    yaadon ki jalti shabnam se

    phul sa mukhDa dhoya hoga

    moti jaisi shakl bana kar

    aaine ko takta hoga

    sham hui ab tu bhi shayad

    apne ghar ko lauTa hoga

    nili dhundli KHamoshi mein

    taron ki dhun sunta hoga

    mera sathi sham ka tara

    tujh se aankh milata hoga

    sham ke chalte hath ne tujh ko

    mera salam to bheja hoga

    pyasi kurlati kunjon ne

    mera dukh to sunaya hoga

    main to aaj bahut roya hun

    tu bhi shayad roya hoga

    'nasir' tera mit purana

    tujh ko yaad to aata hoga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dukh ki lahar ne chheDa hoga Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now