Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya

Muzaffar Razmi

yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya

Muzaffar Razmi

MORE BYMuzaffar Razmi

    yaad ye kis aa ga.ī zehn bojh utar gayā

    saare ġham bhulā ga.ī zehn bojh utar gayā

    zindagī kyā hai ġham hai kyā sochte sochte yūñhī

    mujh ko hañsī jo aa ga.ī zehn bojh utar gayā

    shām-e-firāq meñ mujhe tere ġham ke faiz se

    niind achānak aa ga.ī zehn bojh utar gayā

    aaj vafā ke saaz par kaun ye ibrat-e-suḳhan

    merī ġhazal sunā ga.ī zehn bojh utar gayā

    shiddat-e-ranj-o-yās meñ bhūlī huī koī ḳhushī

    itnā mujhe rulā ga.ī zehn bojh utar gayā

    achchhā huā ki dil baat aaj kisī ke rū-ba-rū

    merī zabāñ tak aa ga.ī zehn bojh utar gayā

    ye bhī ḳhudā fazl hai merī navā-e-zindagī

    auroñ ke kaam aa ga.ī zehn bojh utar gayā

    kashmakash-e-hayāt meñ had se baḌhīñ jo uljhaneñ

    aap yaad aa ga.ī zehn bojh utar gayā

    'razmī'-e-be-qarār ko ahl-e-ḳhulūs nazar

    pyaar se jab silā ga.ī zehn bojh utar gayā

    yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya

    sare hi gham bhula gai zehn ka bojh utar gaya

    zindagi kya hai gham hai kya sochte sochte yunhi

    mujh ko hansi jo aa gai zehn ka bojh utar gaya

    sham-e-firaq mein mujhe tere hi gham ke faiz se

    nind achanak aa gai zehn ka bojh utar gaya

    aaj wafa ke saz par kaun ye ibrat-e-suKHan

    meri ghazal suna gai zehn ka bojh utar gaya

    shiddat-e-ranj-o-yas mein bhuli hui koi KHushi

    itna mujhe rula gai zehn ka bojh utar gaya

    achchha hua ki dil ki baat aaj kisi ke ru-ba-ru

    meri zaban tak aa gai zehn ka bojh utar gaya

    ye bhi KHuda ka fazl hai meri nawa-e-zindagi

    auron ke kaam aa gai zehn ka bojh utar gaya

    kashmakash-e-hayat mein had se baDhin jo uljhanen

    aap ki yaad aa gai zehn ka bojh utar gaya

    'razmi'-e-be-qarar ko ahl-e-KHulus ki nazar

    pyar se jab sila gai zehn ka bojh utar gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    yaad ye kis ki aa gai zehn ka bojh utar gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now