aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main

Qateel Shifai

yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    yaaro kahāñ tak aur mohabbat nibhā.ūñ maiñ

    do mujh ko bad-duā ki use bhuul jā.ūñ maiñ

    dil to jalā kiyā hai vo sho.ala aadmī

    ab kis ko chhū ke haath bhī apnā jalā.ūñ maiñ

    suntā huuñ ab kisī se vafā kar rahā hai vo

    ai zindagī ḳhushī se kahīñ mar na jā.ūñ maiñ

    ik shab bhī vasl na mirā saath de sakī

    ahd-e-firāq aa ki tujhe āzmā.ūñ maiñ

    badnām mere qatl se tanhā na ho

    apnī mohr bhī sar-e-mahzar lagā.ūñ maiñ

    utrā hai baam se koī ilhām tarah

    chāhtā hai saarī zamīñ ko sajā.ūñ maiñ

    us jaisā naam rakh ke agar aa.e maut bhī

    hañs kar use 'qatīl' gale se lagā.ūñ maiñ

    yaro kahan tak aur mohabbat nibhaun main

    do mujh ko bad-dua ki use bhul jaun main

    dil to jala kiya hai wo shoala sa aadmi

    ab kis ko chhu ke hath bhi apna jalaun main

    sunta hun ab kisi se wafa kar raha hai wo

    ai zindagi KHushi se kahin mar na jaun main

    ek shab bhi wasl ki na mera sath de saki

    ahd-e-firaq aa ki tujhe aazmaun main

    badnam mere qatl se tanha tu hi na ho

    la apni mohr bhi sar-e-mahzar lagaun main

    utra hai baam se koi ilham ki tarah

    ji chahta hai sari zamin ko sajaun main

    us jaisa nam rakh ke agar aae maut bhi

    hans kar use 'qatil' gale se lagaun main

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 276)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now