Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi chinar yahi jhil ka kinara tha

Maqbool Aamir

yahi chinar yahi jhil ka kinara tha

Maqbool Aamir

MORE BYMaqbool Aamir

    yahī chinār yahī jhiil kinārā thā

    yahīñ kisī ne mire saath din guzārā thā

    nazar meñ naqsh hai sub.h-e-safar vīrānī

    bas ek maiñ thā aur ik sub.h sitārā thā

    mire ḳhilāf gavāhī meñ pesh pesh rahā

    vo shaḳhs jis ne mujhe jurm par ubhārā thā

    ḳhirāj detā chalā aa rahā huuñ aaj talak

    maiñ ek roz zamāne se jang haarā thā

    mujhe ḳhud apnī nahīñ us fikr lāhaq hai

    bichhaḌne vaalā bhī mujh be-sahārā thā

    zamīñ ke kaam agar merī dastaras meñ nahīñ

    to phir zamīñ pe mujhe kis liye utārā thā

    maiñ jal ke raakh huā jis alaao meñ 'āmir'

    vo ibtidā meñ sulagtā huā sharāra thā

    yahi chinar yahi jhil ka kinara tha

    yahin kisi ne mere sath din guzara tha

    nazar mein naqsh hai subh-e-safar ki virani

    bas ek main tha aur ek subh ka sitara tha

    mere KHilaf gawahi mein pesh pesh raha

    wo shaKHs jis ne mujhe jurm par ubhaara tha

    KHiraj deta chala aa raha hun aaj talak

    main ek roz zamane se jang haara tha

    mujhe KHud apni nahin us ki fikr lahaq hai

    bichhaDne wala bhi mujh sa hi be-sahaara tha

    zamin ke kaam agar meri dastaras mein nahin

    to phir zamin pe mujhe kis liye utara tha

    main jal ke rakh hua jis alao mein 'amir'

    wo ibtida mein sulagta hua sharara tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    yahi chinar yahi jhil ka kinara tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now