aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

Mirza Mohammad Taqi Hawas

yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

Mirza Mohammad Taqi Hawas

MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas

    yahī kahtī lailī-e-soḳhta-jāñ nahīñ khātī adab se ḳhudā qasam

    ġham-e-qais sivā mujhe ġham nahīñ kuchh usī kushta-e-nāz-o-adā qasam

    kabhī kahtā thā qais ġhazāloñ se kaho naaqa yaañ se kidhar ko gayā

    kabhī kahtā thā batā.e sabā tujhe lailā zulf-e-dutā qasam

    tire kushta-e-ġham hai haal batar yahī kahiyo jo jaanā ho terā udhar

    tujhe qāsid-e-mauj-e-nasīm-e-sahar mirī hijr shab bukā qasam

    aa.ī 'havas' mujhe phūloñ kabhī baiThā na ke maiñ bar-lab-e-jū

    mirī tañgi-e-dil to ga.ī na kabhū mujhe bāġh-e-jahāñ ke fazā qasam

    yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

    gham-e-qais siwa mujhe gham nahin kuchh usi kushta-e-naz-o-ada ki qasam

    kabhi kahta tha qais ghazalon se ja kaho naqa yan se kidhar ko gaya

    kabhi kahta tha tu hi batae saba tujhe laila ki zulf-e-duta ki qasam

    tere kushta-e-gham ka hai haal batar yahi kahiyo jo jaana ho tera udhar

    tujhe qasid-e-mauj-e-nasim-e-sahar meri hijr ki shab ki buka ki qasam

    aai 'hawas' mujhe phulon ki bu kabhi baiTha na ja ke main bar-lab-e-ju

    meri tangi-e-dil to gai na kabhu mujhe bagh-e-jahan ke faza ki qasam

    Source:

    Deewan-e-Hawas (Pg. 17)

    • Author: Mirza Mohammad Taqi Hawas
      • Publisher: Hasrat Mohani
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now