Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahi to ek shikayat safar mein rahti hai

Aabid Jafri

yahi to ek shikayat safar mein rahti hai

Aabid Jafri

MORE BYAabid Jafri

    yahī to ek shikāyat safar meñ rahtī hai

    havā-e-gard musalsal nazar meñ rahtī hai

    jazā-e-kāvish-e-ta.amīr ye milī hai hameñ

    sadā-e-tesha sadā saath ghar meñ rahtī hai

    hunar kisī meñ ho qismat hai us dar-badarī

    ki āb-o-tāb-e-guhar kab guhar meñ rahtī hai

    samā.atoñ payambar ban sake to sune

    vo dāstāñ jo lab-e-chashm-e-tar meñ rahtī hai

    har ek sub.h pe maqtal ho rahā hai gumāñ

    na jaane kaun surḳhī ḳhabar meñ rahtī hai

    yahi to ek shikayat safar mein rahti hai

    hawa-e-gard musalsal nazar mein rahti hai

    jaza-e-kawish-e-tamir ye mili hai hamein

    sada-e-tesha sada sath ghar mein rahti hai

    hunar kisi mein ho qismat hai us ki dar-badari

    ki aab-o-tab-e-guhar kab guhar mein rahti hai

    samaaton ka payambar hi ban sake to sune

    wo dastan jo lab-e-chashm-e-tar mein rahti hai

    har ek subh pe maqtal ka ho raha hai guman

    na jaane kaun si surKHi KHabar mein rahti hai

    Source:

    Sapne Jagti Aankhon Ke (Pg. 37)

    • Author: Aabid Jafri
      • Publisher: Institute of Third World Arts & Literature, Britannia
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now