Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye aankh bhi ye KHwab bhi ye raat usi ki

Tajdar Adil

ye aankh bhi ye KHwab bhi ye raat usi ki

Tajdar Adil

MORE BYTajdar Adil

    ye aañkh bhī ye ḳhvāb bhī ye raat usī

    har baat pe yaad aa.ī hai har baat usī

    jugnū se chamakte haiñ usī yaad ke har-dam

    āñkhoñ meñ liye phirte haiñ sauġhāt usī

    har sho.ale ke pīchhe hai usī aag sūrat

    har baat ke parde meñ hikāyāt usī

    phir vahshat-e-dil DhūñDhtī phirtī hai hamesha

    dīvāngī-e-ġham pe mudārāt usī

    ā.īne aur aks rishta mirā us

    ab jiit mirī us hai aur maat usī

    lafzoñ meñ sajāte haiñ usī husn ḳhushbū

    āñkhoñ meñ chhupāte haiñ shikāyāt usī

    kyā kījiye achchhī hameñ lagtī hai hamesha

    dīvāngī-e-dil meñ har ik baat usī

    jis shaḳhs ne manzar ko na.e phuul diye the

    haiñ daur-e-ḳhizāñ par bhī ināyāt usī

    aatā hai nazar majma-e-ahbāb meñ 'ādil'

    lākhoñ meñ akelī hai magar zaat usī

    ye aankh bhi ye KHwab bhi ye raat usi ki

    har baat pe yaad aai hai har baat usi ki

    jugnu se chamakte hain usi yaad ke har-dam

    aankhon mein liye phirte hain saughat usi ki

    har shoale ke pichhe hai usi aag ki surat

    har baat ke parde mein hikayat usi ki

    phir wahshat-e-dil DhunDhti phirti hai hamesha

    diwangi-e-gham pe mudaraat usi ki

    aaine ka aur aks ka rishta mera us ka

    ab jit meri us ki hai aur mat usi ki

    lafzon mein sajate hain usi husn ki KHushbu

    aankhon mein chhupate hain shikayat usi ki

    kya kijiye achchhi hamein lagti hai hamesha

    diwangi-e-dil mein har ek baat usi ki

    jis shaKHs ne manzar ko nae phul diye the

    hain daur-e-KHizan par bhi inayat usi ki

    aata hai nazar majma-e-ahbab mein 'adil'

    lakhon mein akeli hai magar zat usi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now