Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dhup giri hai jo mere lawn mein aa kar

Swappnil Tiwari

ye dhup giri hai jo mere lawn mein aa kar

Swappnil Tiwari

MORE BYSwappnil Tiwari

    ye dhuup girī hai jo mire lawn meñ aa kar

    le jā.egī jaldī ise shaam uThā kar

    siine meñ chhupā shaam āñkhoñ se bachā kar

    ik lahr ko ham laa.e samundar se uThā kar

    haañ vaqt se pahle uḌā degī ise sub.h

    rakkhī na ga.ī chāñd se gar shab ye dabā kar

    ik sub.h bhalī mire nazdīk se guzrī

    maiñ baiThā rahā hijr ik raat bichhā kar

    phir sub.h se aaj alam dekh rahe haiñ

    yādoñ koī film mire dil meñ chalā kar

    phir chaa.e meñ biscuit tarah bhūkī ye shaam

    khā jā.egī sūraj ko samundar meñ Dubā kar

    ye dhup giri hai jo mere lawn mein aa kar

    le jaegi jaldi hi ise sham uTha kar

    sine mein chhupa sham ki aankhon se bacha kar

    ek lahr ko hum lae samundar se uTha kar

    han waqt se pahle hi uDa degi ise subh

    rakkhi na gai chand se gar shab ye daba kar

    ek subh bhali si mere nazdik se guzri

    main baiTha raha hijr ki ek raat bichha kar

    phir subh se hi aaj alam dekh rahe hain

    yaadon ki koi film mere dil mein chala kar

    phir chae mein biscuit ki tarah bhuki si ye sham

    kha jaegi suraj ko samundar mein Duba kar

    Source:

    Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 56)

    • Author: Swapnil Tiwari
      • Edition: 2015
      • Publisher: Anybook, Gurgaon
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now