Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain

Sultan Akhtar

ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain

Sultan Akhtar

MORE BYSultan Akhtar

    ye jo ham atlas o kim-ḳhvāb liye phirte haiñ

    azmat-e-rafta ke ādāb liye phirte haiñ

    dekh kar un ko laraz jaatī hai har mauj-e-balā

    apnī kashtī meñ jo girdāb liye phirte haiñ

    tiir kitne haiñ la.iiñ aur tire tarkash meñ

    dekh ham sīna-e-be-tāb liye phirte haiñ

    dekhnā un ko bhī Das legī kaḌe vaqt dhuup

    vo jo kuchh ḳhvāhish-e-shādāb liye phirte haiñ

    apnī tahzīb ab koī talabgār nahīñ

    be-sabab ham par-e-surḳhāb liye phirte haiñ

    merā bhī kāsa-e-ta.abīr hai ḳhālī ḳhālī

    vo bhī āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb liye phirte haiñ

    tīrgī shahr-e-ġhazālāñ se nikaltī nahīñ

    laakh vo sūrat-e-mahtāb liye phirte haiñ

    ye to sadqa hai husain-ibn-e-alī 'aḳhtar'

    tishnagī ham jo sar-e-āb liye phirte haiñ

    ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain

    azmat-e-rafta ke aadab liye phirte hain

    dekh kar un ko laraz jati hai har mauj-e-bala

    apni kashti mein jo girdab liye phirte hain

    tir kitne hain lain aur tere tarkash mein

    dekh hum sina-e-be-tab liye phirte hain

    dekhna un ko bhi Das legi kaDe waqt ki dhup

    wo jo kuchh KHwahish-e-shadab liye phirte hain

    apni tahzib ka ab koi talabgar nahin

    be-sabab hum par-e-surKHab liye phirte hain

    mera bhi kasa-e-tabir hai KHali KHali

    wo bhi aankhon mein kai KHwab liye phirte hain

    tirgi shahr-e-ghazalan se nikalti hi nahin

    lakh wo surat-e-mahtab liye phirte hain

    ye to sadqa hai husain-ibn-e-ali ka 'aKHtar'

    tishnagi hum jo sar-e-ab liye phirte hain

    RECITATIONS

    Sultan Akhtar

    Sultan Akhtar,

    Sultan Akhtar

    ye jo hum atlas o kim-KHwab liye phirte hain Sultan Akhtar

    Source:

    Ghazalistan (Pg. 127)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now