Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki

Agha Shayar Qazalbash

ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki

Agha Shayar Qazalbash

MORE BYAgha Shayar Qazalbash

    ye kaise baal khole aa.e kyuuñ sūrat banī ġham

    tumhāre dushmanoñ ko kyā paḌī thī mere mātam

    shikāyat kis se kiije haa.e kyā ulTā zamāna hai

    baḌhāyā pyaar jab ham ne mohabbat yaar ne kam

    jigar meñ dard hai dil muztarib hai jaan be kal hai

    mujhe is be-ḳhudī meñ bhī ḳhabar hai apne aalam

    nahīñ milte na miliye ḳhair koī mar na jā.egā

    ḳhudā shukr hai pahle mohabbat aap ne kam

    adū jis tarah tum ko dekhtā hai ham samajhte haiñ

    chhupāo laakh tum chhuptī nahīñ hai aañkh mahram

    maza is meñ miltā hai namak chiḌko namak chiḌko

    qasam le lo nahīñ aadat mire zaḳhmoñ ko marham

    kahāñ jaanā hai tham-tham kar chalo aisī bhī kiyā jaldī

    tum tum ho ḳhudā rakkhe nazar paḌtī hai aalam

    koī aisā ho ā.īna ki jis meñ nazar aa.e

    zamāne bhar jhūTā kyā haqīqat sāġhar-e-jam

    ghaTā.eñ dekh kar be-tāb hai bechain hai 'shā.ir'

    tire qurbān o mutrib sunā de koī mausam

    ye kaise baal khole aae kyun surat bani gham ki

    tumhaare dushmanon ko kya paDi thi mere matam ki

    shikayat kis se kije hae kya ulTa zamana hai

    baDhaya pyar jab hum ne mohabbat yar ne kam ki

    jigar mein dard hai dil muztarib hai jaan be kal hai

    mujhe is be-KHudi mein bhi KHabar hai apne aalam ki

    nahin milte na miliye KHair koi mar na jaega

    KHuda ka shukr hai pahle mohabbat aap ne kam ki

    adu jis tarah tum ko dekhta hai hum samajhte hain

    chhupao lakh tum chhupti nahin hai aankh mahram ki

    maza is mein hi milta hai namak chiDko namak chiDko

    qasam le lo nahin aadat mere zaKHmon ko marham ki

    kahan jaana hai tham-tham kar chalo aisi bhi kiya jaldi

    tum hi tum ho KHuda rakkhe nazar paDti hai aalam ki

    koi aisa ho aaina ki jis mein tu nazar aae

    zamane bhar ka jhuTa kya haqiqat saghar-e-jam ki

    ghaTaen dekh kar be-tab hai bechain hai 'shair'

    tere qurban o mutrib suna de koi mausam ki

    Source:

    Noquush (Pg. B-311 E-328)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now