Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai

Irfan Sattar

ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    ye ḳhabar hai, mujh meñ kuchh mere sivā maujūd hai

    ab to bas ma.alūm karnā hai ki kyā maujūd hai

    ek maiñ huuñ, jis honā ho ke bhī sābit nahīñ

    ek vo hai jo na ho kar jā-ba-jā maujūd hai

    haañ ḳhudā hai, is meñ koī shak gunjā.ish nahīñ

    is se tum ye mat samajh lenā ḳhudā maujūd hai

    hal kabhī hotā nahīñ ye jism se chhūTe baġhair

    maiñ abhī zinda huuñ so ye mas.ala maujūd hai

    taab āñkheñ sakeñ us husn kii, mumkin nahīñ

    maiñ to hairāñ huuñ ki ab tak aa.ina maujūd hai

    raat kaTtī hai maze meñ chain se hotī hai sub.h

    chāñdnī maujūd hai bād-e-sabā maujūd hai

    raushnī aa rahī hai is taraf chhantī huī

    aur vo hiddat bhī jo zer-e-qabā maujūd hai

    ek pal fursat kahāñ dete haiñ mujh ko mere ġham

    ek ko bahlā diyā to dūsrā maujūd hai

    dard shiddat meñ bhī chaltī hai mere dil ke saath

    ik dhaḌaktī raushnī jo har jagah maujūd hai

    mo'tabar to qais qissa bhī hai is zimn meñ

    is havāle se mirā bhī vāqi.a maujūd hai

    ḳhvāb meñ ik zaḳhm dekhā thā badan par jis jagah

    sub.h dekhā to vahāñ ik daaġh maujūd hai

    ek sho.ale se jalte aa rahe haiñ ye charāġh

    'mīr' se mujh tak vahī ik silsila maujūd hai

    yuuñ to hai 'irfān' har ehsās mahdūd

    ik kasak hai ki jo be-intihā maujūd hai

    ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai

    ab to bas malum karna hai ki kya maujud hai

    ek main hun, jis ka hona ho ke bhi sabit nahin

    ek wo hai jo na ho kar ja-ba-ja maujud hai

    han KHuda hai, is mein koi shak ki gunjaish nahin

    is se tum ye mat samajh lena KHuda maujud hai

    hal kabhi hota nahin ye jism se chhuTe baghair

    main abhi zinda hun so ye masala maujud hai

    tab aankhen la saken us husn ki, mumkin nahin

    main to hairan hun ki ab tak aaina maujud hai

    raat kaTti hai maze mein chain se hoti hai subh

    chandni maujud hai baad-e-saba maujud hai

    raushni si aa rahi hai is taraf chhanti hui

    aur wo hiddat bhi jo zer-e-qaba maujud hai

    ek pal fursat kahan dete hain mujh ko mere gham

    ek ko bahla diya to dusra maujud hai

    dard ki shiddat mein bhi chalti hai mere dil ke sath

    ek dhaDakti raushni jo har jagah maujud hai

    mo'tabar to qais ka qissa bhi hai is zimn mein

    is hawale se mera bhi waqia maujud hai

    KHwab mein ek zaKHm dekha tha badan par jis jagah

    subh dekha to wahan ek dagh sa maujud hai

    ek hi shoale se jalte aa rahe hain ye charagh

    'mir' se mujh tak wahi ek silsila maujud hai

    yun to hai 'irfan' har ehsas hi mahdud sa

    ek kasak si hai ki jo be-intiha maujud hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now